Shayri Portal

Collected by Hamid Kashmiri


UDAAS LOGO KI BUSTIYO MAI WO TITLIYO KO TALASH KARTI WO EK LARKI . . . WO GOL CHEHRA, WO KAALI AANKAIN JO KARTI REHTI HAZAAR BAATAIN MIZAAJ SAADA,,, WO DIL KI ACHI WO EK LARKI . . . SAARI BATAIN WO DIL KI MAANAY WOHI KARAY WO, JO DIL MAI TAANAY KOYI NA JANAY,, KYA OS KI MARZI WO EK LARKI . . . WO CHAHATO K SARAAB DEKAY MOHABATOO K WO KHWAB DEKAY WO KHUD SAMANDAR MAGAR HAI PYASI WO EK LARKI . . . WO DOSTI K NISAAB JANAY WO JANTI HAI EHD NEBHANAY WO ACHI DOST WO ACHI SAATHI WO EK LARKI . . . WO JAAM CHAHAT KA PEENA CHAHAY WO APNE MARZI SE JEENA CHAHAY MAGAR HAI DARTI,,, MAGAR HAI DARTI WO EK LARKI . . .
...................................................................

Yadon ki misal

hamay khaber nahi thi tairi muskurahat kamal kr daigi ,,,,,,,,ek pagal si lerki ko yadon ki misal kr daigi,,,,,yay apni zindagi pehlay sai kam mushkil thi kiya?aur yay chahat akay esay muhaal kr daigi,,,,,,,hath thama hai tou ab na dur jawo hm sai jana,,,,,warna yay drd e judayi nidhaal kr daigi,,,,,,,,rag o jan mai daikh kai jo tujay surur ajata hai,,,,kahungi kiya jo es madhoshi pai dunia sawal 
...................................................................

December

December yaad kero na tum apna wo haseen wada
mujay tum nai kaha tha kai osay tum laikay awogay
jo mujko bhul baitha hai tor kr hr wo ek wada
mujay tum nai kaha tha na jo lamhay os nai bakhshay hain
unhay tum phir loutavo gay onhay mernay nahi dogay
wo daikho phir nahi aya ,kiya jhota tha taira wada
december yaad rakhna tum mujay phir na aysay behlana
sada tum dair kertay ho taira jhootha hai hr wada
sada akhir mai atay ho hr ek ko tum rulatay ho
nahi mujko yaqeen tum pr na kr muj sai phr ab wada
..............................................................

Derti hun

Sukot e shab ki tanhayion sai derti hun
Mai tari yaad ki sacchayion sai derti hun
Bhot sai khowab hain jo mai nai daikhay thay
Jo tum nai tor diyay un khahishon sai derti hun
Wo keh giya tha piyar ki rasmain nibhayay ga
janay kyun mai os hamdrd ki shokhion sai derti hun
shab e wisaal ko ganwa diya mai nai apnay hathon
kai mai os shakhs ki sahiri sai derti hun
mita dain gay mujay oskay shehr sai nikal kr
mai jan ker bhi is der badari sai derti hun
.........................................
Bahar ki Rut
Bahar ki Rut me ujrey rasty,
Chala kro gy to Ro paro gy…
Kisi se milny ko jab bhi ,
Sajja karo gy to Ro paro gy….
K chaand raton me ab kisi se,
Mila karo gy to Ro paro gy…
Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen…
Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!
.............................................
khawab na koi saheli
Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi
ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jheeli thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohaabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
waqt kay sanp kha gaaye usko
meray aangan main ik chanbeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon 
kitni roshan meri hatheli thi
..............................
Koi maazi hai
Koi maazi hai, na farda hai na imroz koi
Meri bhujti huyi ankhon mein koi khawb nahin
Jao dunya se kaho, loot li baazi tumne
Nasiro jashan karo haar gaye dil waley
Khawhish zeest saredaar karo sheher ke bech
Aur is katal per raqsaan raho taa-marg sabhi
Jao be-fikr raho aur manadi kardo
Ab koi raat kabhi subah ka peiman nahin bandhey gi
Koi tareeki kisi noor ki khawhish nahin karpayegi
Ab koi subah neyi subah nahin kehlaaye gi
........................................................

Youn hi sochta hoon main aksar
Youn hi sochta hoon main aksar
Tujhey kis tarhaan saza doun main

Teri arzoo karun aur phir
tera khayal tak bhulla doun main

Tujh ko khuwaboun main apney bula kar
apni raatein sabhi jala doun main

Teri manzil ko guloun sey saja kar
rah main kaantey bicha doun main

Ya teri zeest ka har ik pehloo
bhooli hui dastaan bana doun main

Tu jo chahey ussey main pa loun
tu jo paa ley ussey mita doun main

Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key
tujh ko teri nazroun main hi gira doun main……!
.............................................................
Dard bhari zindagi
Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai
Hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte hai

Banaye thy tamasha zindagi ko es tarh
Ke un mherbaano ka elaaj dhondhte hai

Koi en andhero main meri dil ki shmma jala de
Hum apni badnasibi ka raaz dhnodhte hai

Hasrat ka aayina ye pather dil se toot gaya
Sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai

Maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya
Dil ko bhulane ke liye koi haseen khaab dhondhte hai
...........................................................
khawb zindagi
Be khawb zindagi ka parastaar kon tha,,,???
Itni udas raat mein be daar kon tha,,,?????
Kis ko ye fikr thi k mohabbat mein kia hooa,,,,???
Ham is pe larr rahy they wafadaar kon tha,,,???
So kashtian jala k chaly sahilon se ham,,,
Ab tum ko kia bataen k us paar kon tha,,,,???
Ye faesla to waqt bhi shayed na ker saky,,,,,
Sach kon bolta tha ,adakaar kon tha,,,,???,,
...................................
Wo shakhs
wo shakhs mujhe ko jeet ke haara hai aur bas,
itna hi zindagi ka khasara hai aur bas,

kaise kahoon k us ka irada badal gaya,
sach to yehi hai us ne pukara hai aur bas,

duniya ko is mein dard ki shiddat kahan milay,
aankhon se tootta taara hai aur bas,

lafzon mein dard hijar ko mehsoos kar ke dekh,
kehne ko mein ne waqt guzara hai aur bas,

ab in mein koi khwab sajane nahin mujhe,
ankhon ko intezar tumhara hai aur bas,

mein ne kaha ke khwab mein dekhi hain baarishen,
us ne kaha ke ek ishaara hai aur bas
...............................................................
Mujhe Maaf Kar
Mujhe Maaf Kar Maire Humsfar
Tuhje Chahna Meri Bhool Thi,

Kisi Raah Per Jo Uthy Nazar
Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi

Koi Nazam Ho Ya Koi Ghazal ho
Kahen Raat Ho Ya Kahen Sehar ho

Wo Gali Gali Wo Shehar Shehar
Tujhe Dhondna Meri Bhool Thi

Meray Gham Ki Koi Dawa Nhi
Mujhe Tujhsa Koi Mila Nhi

Mera Koi Tere Siwa Nahi
Ye Sochna Meri Bhool Thi

 ...............................
Chand ki simat

Chand ki simat nazar jaye to kya hota hai
Rat kisi ki yaad mein guzar jaye to kya hota hai
Kitni masoom ada se wo mujhe pochta hai
Jab koi dil mein utar jaye to kya hota hai
Mere Allah tu faqt itna bata de usko
Admi jeete ji mar jaye to kya hota hai
Koi anjan se shaks ka kisi pichle pehar
Aks ankhon mein thehr jaye tu kya hota hai
Dard de k mujhe wo hansta raha or bola
Dard jab had se guzar jaye tu kya hota hai…
.....................................................
zindagi me chndd
zindagi me chndd lamhy koi mere pas na baitha,
aur aaj sab mere paas baithte ja rahe the….

koi tohfa na mila aj tak mujhe,
aur aaj phool hi phool diye ja rahe the….

taras gaye the hum kisi k haath se diye to ek kapde ko,
aur aaj naye naye kapde pahnaaye ja rahe the…..

2 kadam saath na chalne ko tayar tha koi,
aur aaj kafila banakar le ja rahe the…..

aaj pata chala k “Maut” itni hasin hoti hai,
kambhakt “HUM” to yuhi jiye ja rahe the…
.............................................................
Aik Ghazal Tere Liye
Aik Ghazal Tere Liye Zaror Likhon Ga
Be Hisaab Us Mien Tera Qasoor Likhon Ga

Tu Guftaar Ka Mahir Tu Kirdaar Ka Mahir
Par Husan Ko Tere, Tera Garoor Likhon Ga

Toot Gaye Bachpan Ke Tere Sare Khiloony
Ab Diloon Se Khelna Tera Dastoor Likhonga

Raha Ishq Ka Davaa Tujhe Tamam Umer
Wafa Ki Dehleez Se Tujhe Mafroor Likhon Ga

Khud Sakhta Jo Hai Tera Judai Ka Faisla
Aisay Har Iqdaam Ko Na Manzoor Likhon Ga

Hamien Kehny Ki Aadat Nahien Likhny Ka Shooq Hai
Jazbon Ko Apny Qalam Ki Taseer Likhon Ga

Tera Wajood Mera Wajood Mujhe Aik Sa Lagy
Par Tujhy Mien Khud Se Bohat Door Likhon Ga...!
.......................................................
Aesy bhi Mohabbat ki saza deti hai Duniya
Aesy bhi Mohabbat ki saza deti hai Duniya
Marr jayen to jeeny ki dua deti hai Duniya

Ye zakhm mohabbat ka hai ,Dikhana na kisi ko
La ker Sar-e-Bazar sajaa deti hai Duniya

Qismat pe karo naaz na itna b Faqeero
Hathon ki Laqeeron ko mitta deti hai Duniya

Marny k liye kerti hai Majboor to lekin
Jeeny k Tareeqy bhi Sikha deti hai Duniya

Aesy bhi mohabbat ki saza deti hai duniya ….
 ...........................................
 Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay
Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay

Kiyon hum peh uthaeen sang-e-malamat ki fasilein
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay

Yeh chaand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Munsoob tere naam se kya kya na karen gay

Wiraan hoey qasr-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay

Har cheez ki bohtaat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay?
 .......................................
Dekho ge humain
dekho ge humain roz magar bat na hogi
Ek shehr man reh keh be mulaqat na hogi

kehna hai jo keh dalo abi waqt hai baqi
kal hum honge … magar art-e-halat na hogi

jo pochna hai tum ko abi poch lo warna
phir Rasm-e-sawalat na hogi

din itne huwe taweel hijir ke logo
tarpo ge sar-e-sham magar raat na hogi

ye soch kar be dil tarap uthta hai yara
bichren ge is tarah, ke kabi mulaqat na hogi
...........................................................

Mere sirhane na bithana us ko

Me mar jau to mere Sirhane na bithana us ko,
Boht Tasalli dena boht pyar se Samjhana us ko,

Ghomne ka bahana kar k door Fizao me kahi le jana us ko,
Wo bawafa hy us waqt ye ehsas na dilana us ko,

Us k samny na karna batey aesi k meri yaad ajae,
Meri tafri k mashghale suna suna k hansana us ko,

Wo roye ga boht bilawaje to meri rooh tarap uthegi Yaar,
Dost tm aesa karna meri Mout ka he na batana us ko??. 
........................................................

Ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
shaam ke vaqt safar kyaa karte

terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte

jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte

vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii
kar ke zarre ko gauhar kyaa karte
................................................................

Dard ki har ik hadh se guzar gaya hoon

Dard ki har ik hadd se ab guzar gaya hon main
Phir kabhi na simtunga youn bikhar gaya hon main

Mout bas naheen aati rooh k nikalne se
Sans mujh main baqi hai phir bhi mer gaya hon main

Zindagi main jitni bhi roshni thi uss se thi
Mustaqil andhero’n main ab utar gaya hon main

Baam o darr bhi us k baad ho gaye hain you’n khamosh
Aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hon main

Us ka sath jab tak tha rung rung mausam the
Bas khizaan k mausam main ab thhehar gaya hon main
.........................................................

Meri zindgi se pehly

humain koi Gham nahin tha Gham-e-ashiqi se pehle
na thii dushmanii kisii se terii dostii se pehle

hai ye merii badnaseebii teraa kyaa qasoor iss mein
tere Gham ne maar Daalaa mujhe zindagii se pehle

meraa pyaar jal rahaa hai aye chaand aaj chhup jaa
kabhii pyaar thaa hamein bhii terii chaandni se pehle

main kabhii na muskuraataa jo mujhe ye ilam hotaa
ke hazaaron Gham milenge mujhe ik Khushii se pehle

ye ajeeb imtehaan hai ke tumhii ko bhoolnaa hai
mile kab they iss tarah ham tumhein bedilii se pehle
.......................................................

Mery aansu nahi rukty

Hawa Jab geet gati hai Mere AAnsu Nhn Rukte
Tumhari Jab yaad AAti hai Mere aansu NHn Rukte

Main khush hota hun paani main baha ker kaghazi kashti
Magar jab doob jati hai mere aansu nhn rukte

Main din bhar khauf rswai ka kitna zabt kerta hun
Magar jab raat chati hai mere aansu nhn rukte.

Kabhi jab sard shamun main mere kamre ki tanhai
Tumhain wapas bulati hai mere aansu nhn rukte…
.........................................

Hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin
hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai

chand sikoon ke ivaz cheen li ghairat meri
kitni kam is ne muqqarar meri keemat ki hai …!!

kon tha jis ne bhujaye mere ghar ke cheeragh
janay kis ne yeh siyahi meri qismat ki hai

ab woh tardeed pe tardeed kiye jata hai
main ne tou baat ki thori si wazahat ki hai

ghar main dar aya hai dushman tou shikayat kaise
ham ne khud us ko faraham ye sahoolat ki hai

shairy kia thi faqt shair ke pairahe main
hum ne aik ahad ki tareekh ibarat ki hai .
...................................................

Meri saadgi mera juram hai

Yahan chahton ka sila Nahi,
Yaha Dosti ka Maza Nahi.

Yaha Janay Kaisy Hawa Chali,
“RAHI” Doston Main Wafa Nahi.

Yaha Jal Gaya Mera Aashian,
Abhi Badalon ko Pata Nahi.

Teray Dar Pe Dastak Dei Sakon,
Ye Haq Tum ne Mujey Dia Nahi.

Main “RAHI” Hoon Rahi-e-Umeed ka,
Mujey Manzilon ka Pata Nahi.

Bey Bus Hoon Jahan Main Itna,
Jaisey Mera koi “KHUDA” Nahi.

meri saadgi mera juram hai,
koi aur meri khata nahi…
....................................................